apne mehwar se jab utar jaun
phul ki tarah phir bikhar jaun
lauT phir aaun kaise mehwar par
koi batlao kya main kar jaun
jaane kya kah rahi hai duniya ab
pahle kahti thi kyun na mar jaun
mujh se hargiz se na ho sakega kabhi
KHud ko auron ke jaisa kar jaun
Dub jaun bhanwar ke sath kahin
lahar ke sath phir ubhar jaun
lauT aaya to hun main mehwar par
ab ye KHwahish hai phir bikhar jaun
Ghazal
Apne mehwar se jab utar jaun
Razi Raziuddin