apne mar-miTne ke asbab bahut dekhta hun
ishq wala hun tere KHwab bahut dekhta hun
ye bhi hai ek sabab is meri tanhai ka
apne chaaron taraf ahbab bahut dekhta hun
aur to aur teri yaad se bhi hun ghafil
main yahan KHud ko zafar-yab bahut dekhta hun
kuchh to us husn mein rakhi hai KHuda ne tasir
aur kuchh logon ko betab bahut dekhta hun
arsa-e-dahr to hai meri nigahon ka tilism
jab bhi main dekhta hun KHwab bahut dekhta hun
in dinon apne ko rakhta hun bahut KHud ke qarib
in dinon dahr ko KHun-nab bahut dekhta hun
mujh ko marna hai kisi jhil si aaankhon mein 'tur'
hai yahi wajh ki mahtab bahut dekhta hun

Ghazal
Apne mar-miTne ke asbab bahut dekhta hun
Krishna Kumar Toor