اردو हिंदी
Apne mahaul se the qais ke rishte kya kya | Shaahi Shayari
apne mahaul se the qais ke rishte kya kya

Ghazal

Apne mahaul se the qais ke rishte kya kya

Ahmad Nadeem Qasmi

;

apne mahaul se the qais ke rishte kya kya
dasht mein aaj bhi uThte hain bagule kya kya

ishq mear-e-wafa ko nahin karta nilam
warna idrak ne dikhlae the raste kya kya

ye alag baat ki barse nahin garje to bahut
warna baadal mere sahraon pe umDe kya kya

aag bhaDki to dar-o-baam hue rakh ke Dher
aur dete rahe ahbab dilase kya kya

log ashiya ki tarah bik gae ashiya ke liye
sar-e-bazar tamashe nazar aae kya kya

lafz kis shan se taKHliq hua tha lekin
us ka mafhum badalte rahe nuqte kya kya

ek kiran tak bhi na pahunchi mere baatin mein 'nadim'
sar-e-aflak damakte rahe tare kya kya