اردو हिंदी
Apne lail-o-nahaar ki baaten | Shaahi Shayari
apne lail-o-nahaar ki baaten

Ghazal

Apne lail-o-nahaar ki baaten

Jafar Abbas

;

apne lail-o-nahaar ki baaten
jabr ki iKHtiyar ki baaten

har taraf kab se ho rahi hain yahan
gardish-e-rozgar ki baaten

chaar-su yan pe maujzan hain sarab
zist ke regzar ki baaten

ek zamana guzar gaya yunhi
hum hain aur dasht-e-KHar ki baaten

is kaDi dhup mein mazahib mein
shajar-e-saya-dar ki baaten

hai zamin saKHt aasman chup hai
wah re parwardigar ki baaten

jis ki ek bhi jhalak na dekhi kabhi
kya hon us parda-dar ki baaten

mat karo be-hisar ki baaten
mat karo be-kanar ki baaten

ye jo pyari zamin mili hai tumhein
bas karo is dayar ki baaten

gar karo apne dil ki baat karo
han isi sogwar ki baaten