apne lahu se nam likha ghair ka bhi dekh
zinda hai to shaqawat-e-dasht-e-bala bhi dekh
aankhon ke aainon ka to pani utar gaya
ab jism chob-e-KHushk hai ye saneha bhi dekh
hoti hai zindagi ki hararat ragon mein sard
sukhe hue badan pe ye chamDa kasa bhi dekh
betabiyon ko sine ke andar sameT le
fitne ko apni had se musalsal baDha bhi dekh
har zarra ibraton ke samundar ki shakl hai
sahra-naward-e-shauq kabhi naqsh-e-pa bhi dekh
pahchan apni ho to mile manzil-e-murad
'nahid' gahe gahe sahi aaina bhi dekh
Ghazal
Apne lahu se nam likha ghair ka bhi dekh
Kishwar Naheed