apne lahu mein zahr bhi KHud gholta hun main
soz-e-darun kisi pe nahin kholta hun main
aflak meri durd-e-tah-e-jam mein hain gum
tasbih-e-mahr-o-anjum-o-mah rolta hun main
kuchh na samajh ke uTh chale sab mere gham-gusar
jaane wahi ki jis ki zaban bolta hun main
kya jaane shaKH-e-waqt se kis waqt gir paDun
manind-e-barg-e-zard abhi Dolta hun main
bazar-e-dil mein dard ka gahak nahin koi
mizan-e-arzu mein ziyan taulta hun main
'imrran' bu-e-gul se hain naKHun mahak uThe
ye kis hasin ke band-e-qaba kholta hun mein
Ghazal
Apne lahu mein zahr bhi KHud gholta hun main
Imran-ul-haq Chauhan