apne lafzon mein ki har chand ayan hun main bhi
ban ke zaKHmon ki kasak KHud mein nihan hun main bhi
tere aaghaz se anjam hai raushan mera
barg-e-awara koi KHak-e-rawan hun main bhi
mo'tabar ab to bana ai nigah-e-naz mujhe
is bhare shahr mein benam-o-nishan hun main bhi
waza-dari ka KHaridar kahin se lao
apni tahzib ki uThti si dukan hun main bhi
tere KHwabon se hai aabaad KHaraba mera
teri yaadon mein karan-ta-ba-karan hun main bhi
Ghazal
Apne lafzon mein ki har chand ayan hun main bhi
Lutf-ur-rahman