apne ko aaghaz ko anjam mein paya hum ne
raaz kya parda-e-ibham mein paya hum ne
kho gaya tha jo kabhi bhiD mein chehron ki use
apni tanhai ki har sham mein paya hum ne
ret bharte rahe aankhon mein sarabon ki sada
uzr jine ka usi kaam mein paya hum ne
kitne shirin lab-e-na-gufta magar the us ke
lutf kuchh aur hi dushnam mein paya hum ne
tum to DhunDa kiye ummid-o-yaqin mein us ko
dil ki har KHwahish-e-nakaam mein paya hum ne

Ghazal
Apne ko aaghaz ko anjam mein paya humne
Rafat Shameem