apne KHala mein la ki ye tum ko dikha raha hun main
wo jo KHala-naward hain un ke liye KHala hun main
ishq hua nahin mujhe ishq ko ho gaya hun main
utna nahin bacha hua jitna paDa hua hun main
ban to gaya hun kuza-gar ghum ke tere chaak par
jaisa bana raha tha tu waisa nahin bana hun main
miTTi yahan ki Thik hai miTTi se kuchh gila nahin
aankhen mila mila ke bas pani badal raha hun main
bhes diye ka dhaar kar teri dua sanwar kar
bich mein taqcha hai aur donon taraf khaDa hun main
ruh mili hai ya nahin itna main jaanta nahin
tere se ek jism ko pahle bhi mil chuka hun main
bara baje ke baad ek din ko nikalte hue
dekha to ja chuka hun par pakDa nahin gaya hun main
Ghazal
Apne KHala mein la ki ye tumko dikha raha hun main
Faizan Hashmi