apne kandhe pe jo har bojh uTha sakta hai
wo zamin-zad falak apna bana sakta hai
teri qurbat mein ye pardes se aaya hua shaKHs
chhoD kar tujh ko kahin aur bhi ja sakta hai
jis ki qismat mein ho sahil pe pahunchna us ko
ek tinke ka sahaara bhi bacha sakta hai
main daraKHton pe koi nam nahin likh sakta
jo hawa ki tarah aaya hai wo ja sakta hai
main khilaune ki tarah dekh raha hun 'maqbul'
toDne wala mujhe kitna bana sakta hai
Ghazal
Apne kandhe pe jo har bojh uTha sakta hai
Maqbool Husain Syed Karnal