apne jine ke hum asbab dikhate hain tumhein
dosto aao ki kuchh KHwab dikhate hain tumhein
tum ne gharqab safine to bahut dekhe hain
sar paTakte hue sailab dikhate hain tumhein
husn ka shor jo barpa hai zara thamne do
ishq ka lahja-e-nayab dikhate hain tumhein
mere phaile hue daman ke kabhi sath chalo
munh chhupate hue ahbab dikhate hain tumhein
chhat pe aa jao har ek kaam se farigh ho kar
chandni raat ke mehrab dikhate hain tumhein
kaise aankhon mein utarte hain lahu ke qatre
kaise banta hai ye tezab dikhate hain tumhein
tum zara pyas ki mearaj pe pahuncho to sahi
regzaron mein bhi girdab dikhate hain tumhein
ek maqsad ke liye amn ki tahriron mein
KHun se likkhe hue bab dikhate hain tumhein
Ghazal
Apne jine ke hum asbab dikhate hain tumhein
Saleem Siddiqui