apne iqrar pe qaem na wo inkar pe hai
kis pari-zad ka saya mere dildar pe hai
fikr-e-tahzib na asnaf-e-adab se raghbat
aaj-kal sab ki nazar dirham-o-dinar pe hai
aisa lagta hai chali aaegi pahlu mein abhi
qadd-e-adam teri taswir jo diwar pe hai
mujh ko is zulmat-e-shab-zar se nisbat hi kya
meri bedar nazar subh ke aasar pe hai
main to bikne pe hun raazi ba-sar-o-chashm 'sahar'
faisla aa ke Tika mere KHaridar pe hai
Ghazal
Apne iqrar pe qaem na wo inkar pe hai
Muneeruddin Sahar Saeedi