apne hone ka koi saz nahin deti hai
ab to tanhai bhi aawaz nahin deti hai
jaane ye kaun si manzil hai shanasai ki
zat-e-mutlaq koi eajaz nahin deti hai
apni uftad tabiat ka gila kya ho ki jo
KHwahishon ko par-e-parwaz nahin deti hai
saat-e-KHubi guzar jati hai aate jate
par ye tahrik-e-tag-o-taz nahin deti hai
jaane kyun apni ana dahr se qurbat ke liye
koi parwana-e-aghaz nahin deti hai
raat mere liye ginti hai 'taraaz' apne nujum
mere hone ka magar raaz nahin deti hai
Ghazal
Apne hone ka koi saz nahin deti hai
Rashid Taraz