apne hone ka har ek lamha pata deti hui
yaad hain mujh ko wo do aankhen sada deti hui
umr-bhar ki hasraten lade thaki-mandi hayat
ja rahi hai jaane kis kis ko dua deti hui
dil ka har ek hukm sar-ankhon pe lekin kya karen
ye jo hai ek aql apna faisla deti hui
dekhte hi dekhte uDne lagi basti mein KHak
ek KHabar aai thi shoalon ko hawa deti hui
umr-bhar ki justuju ka hai yahi hasil 'ziya'
ek diwar-e-tahayyur aasra deti hui
Ghazal
Apne hone ka har ek lamha pata deti hui
Zia Faruqi