apne hisar-e-zat mein uljha hua hun main
yani ki kaenat mein uljha hua hun main
qabu mein aaj dil nahin kya ho gaya mujhe
phir aaj KHwahishat mein uljha hua hun main
jaise ki hone wali hai anhoni phir koi
har-pal tawahhumat mein uljha hua hun main
kuchh apna farz pyar tera fikr-e-rozgar
kitne hi wardat mein uljha hua hun main
fursat kahan banaun marasim nae nae
pichhle talluqat mein uljha hua hun main
sab hain asir-e-ranj-o-alam is jahan mein
tanha kahan hayat mein uljha hua hun main
'nayab' jab nahin hai wafaon ka us ko pas
phir kyun takallufat mein uljha hua hun main
Ghazal
Apne hisar-e-zat mein uljha hua hun main
Jahangeer nayab