apne hi TuTe hue KHwabon ko dil chunta bhi hai
rabt ye qaem rahe dhundla bhi hai gahra bhi hai
ek rang-o-nur ki duniya hai mere samne
sochta hun is KHarabe mein koi apna bhi hai
phir wahi wahshat hai yaro phir wahi viraniyan
mustaqil is ghar mein aa ke kya koi Thahra bhi hai
mujh mein hain makus badle mausamon ki suraten
aaina dil hi nahin hai aaina chehra bhi hai
main andheron ka musafir hun magar ye ilm hai
raat ke zaKHmon ka marham subh ka jhonka bhi hai
waqt ne tamir ke jazbon ko kya taswir di
hai pas-e-manzar gulistan samne sahra bhi hai
jagte lamhon ki aankhen kis liye KHira huin
nisf shab mein 'sabr' kya suraj kabhi nikla bhi hai
Ghazal
Apne hi TuTe hue KHwabon ko dil chunta bhi hai
Sultan Sabr wani