apne hi tale aai zaminon se nikal kar
aa jata hun shaKHon pe dafinon se nikal kar
darwaze the kuchh aur bhi darwaze ke pichhe
barson pe gai baat mahinon se nikal kar
so jati hai basti to makan pichhli gali mein
tanha khaDa rahta hai makinon se nikal kar
kis subh-e-tamasha ka bachaya hua sajda
ruKH par chala aata hai jabinon se nikal kar
aisi koi aasan hai diwangi yaro
aai bhi to aaegi qarinon se nikal kar
wo aur koi abr hai jo khulta nahin hai
sar par jo khaDa rahta hai sinon se nikal kar
muddat se mere raste mein aaya hua hai
patthar sa koi tere naginon se nikal kar
ek rose jo diwar thi wo hum ne gira di
pani mein chale aae safinon se nikal kar
ye dekh mera naKHl-e-kutub-ha-e-daraKHshan
jo phail gaya KHun pasinon se nikal kar
aa jate hain sahil pe dikhane hamein munh log
tariki mein Dube hue zinon se nikal kar
ek den hai hum jaison ki aashufta-sari ko
tham rahta hai aafaq pe dinon se nikal kar
zerin kahin rahti hai tapasya se bhari lahr
budh aur hai andoh-nashinon se nikal kar
mismar ajaib jo hua jang-o-jadal se
miTTi ke zaruf aa gae minon se nikal kar
hamrah asason ki kahan DhunD sakenge
aaya na agar sanp KHazinon se nikal kar
atraf-e-dar-o-baam hi le baiThenge mujh ko
gar qasd-e-chahaarum na ho tinon se nikal kar
phir samna hoga mera apni hi mashin se
aaya bhi jo bil-farz mashinon se nikal kar
duniya ko piroega 'nawed' ek laDi mein
aaega koi KHak-nashinon se nikal kar
Ghazal
Apne hi tale aai zaminon se nikal kar
Afzal Naved