apne hi shab o rose mein aabaad raha kar
hum log bure log hain hum se na mila kar
shayad kisi aawaz ki KHushbu nazar aae
aankhen hain to KHwabon ki tamanna bhi kiya kar
baaton ke liye shikwa-e-mausam hi bahut hai
kuchh aur kisi se na kaha kar na suna kar
sone de unhen rang jo soe hain badan mein
aawara hawaon ko na mahsus kiya kar
tu subh-e-bahaaran ka hasin KHwab hai phir bhi
aahista zara os ki bundon pe chala kar
Ghazal
Apne hi shab o rose mein aabaad raha kar
Rais Farogh