apne hi sajde ka hai shauq mere sar-e-niyaz mein
kaba-e-dil hai samne mahw hun main namaz mein
bina hai gar to KHak Dal dida-e-imtiyaz mein
jam o KHum-o-subu na dekh mai-kada-e-majaz mein
kis ka farogh-e-aks hai kaun hai mahw-e-naz mein
kaund rahi hain bijliyan aaina-e-majaz mein
subh-e-azal hai subh-e-husn sham-e-abad hai dagh-e-ishq
dil hai maqam-e-irtibaat silsila-e-daraaz mein
parda-e-e'tibar-e-ghair pairahan-e-KHudi hai chaak
husn-e-azal hai jalwa-rez sadma-e-dil-gudaz mein
aql-o-shuur bhi hain kya uqda-e-raaz-e-dahr hain
rah gae aur ulajh ke hum sai-e-kashud-e-raaz mein
yaad kisi ki aa gai kaT gai zindagi ki raat
warna kahan numud-e-subh aisi shab-e-daraaz mein
dafn hai dil jagah jagah kaba hai gam gam par
sajda kahan kahan kare koi harim-e-naz mein
husn ke aastane par nasiya rakh ke bhul ja
fikr-e-qubul-o-rad na kar pesh-kash-e-niyaz mein
KHun ke aansuon se hai zinat-e-husn-e-dil 'jigar'
chahiye dagh-e-ishq bhi sina-e-pak-baz mein
Ghazal
Apne hi sajde ka hai shauq mere sar-e-niyaz mein
Jigar Barelvi