apne hi sae mein tha mein shayad chhupa hua
jab KHud hi haT gaya to kahin rasta mila
jalte rahe hain apne hi dozaKH mein raat din
hum se ziyaada koi hamara adu na tha
dekha na phir palaT ke kisi shahsawar ne
main har sada ka naqsh-e-qadam khojta raha
diwar phand kar na yahan aaega koi
rahne do zaKHm-e-dil ka daricha khula hua
nikla agar to hath na aaunga phir kabhi
kab se hun is badan ki kaman mein tana hua
bedar hain shuur ki kirnen kahin kahin
har zehn mein hai wahm ka tarik rasta
ju-e-nashat ban ke baha le gai mujhe
aawaz thi ki saz-e-jawani ka aks tha
itna bhi kaun hoga halak-e-fareb-e-rang
shab us ne mai jo pi hai to mujh ko nasha hua
'farigh' hawae dard ne lauTa diya jise
aaega ek din mera ghar puchhta hua
Ghazal
Apne hi sae mein tha mein shayad chhupa hua
Farigh Bukhari