اردو हिंदी
Apne hi log apne nagar ajnabi lage | Shaahi Shayari
apne hi log apne nagar ajnabi lage

Ghazal

Apne hi log apne nagar ajnabi lage

Qaisar Abbas

;

apne hi log apne nagar ajnabi lage
wapas gae to ghar ki har ek shai nai lage

KHanon mein baT chuki thi samundar ki wusaten
dariya mohabbaton ke simaTti nadi lage

raaton ki bhenT chaDh gae wo chand jaise log
tarikiyon ke dew jinhen kaghzi lage

sona sameTti thi jahan khetiyon mein dhup
wo fasl mere ganw ki KHashak si lage

rawi ki sham sindh ki nikhri hui sahar
kaam aa sake to un ko meri zindagi lage

'qaisar' dilon ke fasle aaise na the kabhi
do gam tai karun to mujhe ek sadi lage