apne hi ghar mein yun hai mujhe apne ghar ki qaid
darkar jaise chhat ko ho diwar-o-dar ki qaid
yun zindagi ke sath rahi umr bhar ki qaid
lazim ho jaise bahr-nazara nazar ki qaid
aazad ho ke apna asar DhunDhti phire
manzur gar nahin hai dua ko asar ki qaid
is dahr ke azal se ye lail-o-nahaar hain
suraj ko din ki chand ko hai raat-bhar ki qaid
aazad hain parind to parwaz ke liye
ye to batao hai ki nahin baal-o-par ki qaid
ai saz kyun na maut ko aawaz dijiye
gar aap ko qubul nahin umr-bhar ki qaid
Ghazal
Apne hi ghar mein yun hai mujhe apne ghar ki qaid
Mahmood Beg Saaz