apne hi ghar ke samne hun but bana hua
parde haTe hue hain daricha khula hua
yun hi idhar udhar ki sunate raho mujhe
mausam bahut udas hai dil hai dukha hua
aawaz de ke puchh lo kya ho gaya use
wo shaKHs ja raha hai bahut sochta hua
kyun dekhta hai ajnabi nazron se wo mujhe
main baiThe baiThe jaise koi dusra hua
harf-e-dua hai pas na lab par shikayaten
jo kuchh hua yahan pe wo yarab bura hua
Ghazal
Apne hi ghar ke samne hun but bana hua
Javed Nasir