اردو हिंदी
Apne hi dam se hai charcha kufr aur islam ka | Shaahi Shayari
apne hi dam se hai charcha kufr aur islam ka

Ghazal

Apne hi dam se hai charcha kufr aur islam ka

Miyan dad Khan Sayyah

;

apne hi dam se hai charcha kufr aur islam ka
gah aabid hun KHuda ka gah pujari ram ka

loTte hain jis ko sun sun kar hazaron murgh-e-dil
ho raha hai zikr kis ke gesuon ke dam ka

chashm-e-mast-e-yar ka ham-chashm lo paida hua
dekhna ab post khincha jaega baadam ka

sair karta hai wo aalam ki mera paik-e-nigah
lakh hai be-dast-o-pa lekin hai phir sau kaam ka

sar juda tan se kiya ek hath mein jallad ne
naqd-e-jaan dije kiya us ne ye kaam inam ka

hain shah-e-malk-e-junun sahra hai apna taKHt-gah
tan pe har dagh-e-junun sikka hai apne nam ka

jald nam apna bata de jaise banda hun tera
wasta deta hun main ai but KHuda ke nam ka

but-parasti ki bahut 'sayyah' ab kar yaad haq
shughl-e-maula mein rahe banda wahi hai kaam ka