اردو हिंदी
Apne ham-rah jala rakkha hai | Shaahi Shayari
apne ham-rah jala rakkha hai

Ghazal

Apne ham-rah jala rakkha hai

Jamal Ehsani

;

apne ham-rah jala rakkha hai
taq-e-dil par jo diya rakkha hai

jumbish-e-lab na sahi tere KHilaf
hath ko hum ne uTha rakkha hai

tu mujhe chhoD ke ja sakta nahin
chhoD is baat mein kya rakkha hai

wo mila dega hamein bhi jis ne
aab aur gil ko mila rakkha hai

mujh ko malum hai meri KHatir
kahin ek jal buna rakkha hai

jaanta hun mere qissa-go ne
asl qisse ko chhupa rakkha hai

aasmanon ne gawahi ke liye
ek sitare ko bacha rakkha hai

kaam kuchh itne hain karne ko 'jamal'
nam ko kal pe uTha rakkha hai