apne hathon ki lakiron mein saja le mujh ko 
main hun tera tu nasib apna bana le mujh ko 
in the fate lines of your hand please do let me be 
make me yours my love because I am your destiny 
main jo kanTa hun to chal mujh se bacha kar daman 
main hun gar phul to juDe mein saja le mujh ko 
save your cloak from me if I am thought to be a thorn 
and if a flower deemed to be then in your hair adorn 
tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam 
tu kabhi yaad to kar bhulne wale mujh ko 
the vow to sever someone's love is no vow at all 
you who have forgotten me someday should recall 
mujh se tu puchhne aaya hai wafa ke mani 
ye teri sada-dili mar na Dale mujh ko 
you come to me asking the meaning of  fidelity 
your innocence may truly well, be the end of me 
main samundar bhi hun moti bhi hun ghota-zan bhi 
koi bhi nam mera le ke bula le mujh ko 
I am the diver, I'm the pearl, I also am the sea 
by any of these names, you may call out to me 
tu ne dekha nahin aaine se aage kuchh bhi 
KHud-parasti mein kahin tu na ganwa le mujh ko 
beside a mirror nothing else have you ever espied 
in self admiration you may lose me by your side 
bandh kar sang-e-wafa kar diya tu ne gharqab 
kaun aisa hai jo ab DhunDh nikale mujh ko 
---- 
---- 
KHud ko main banT na Dalun kahin daman daman 
kar diya tu ne agar mere hawale mujh ko 
tomorrow is another day, same I might not remain 
however much you wish today you may cause me pain 
main khule dar ke kisi ghar ka hun saman pyare 
tu dabe-panw kabhi aa ke chura le mujh ko 
what of wine I will, drink poison happily 
if someones there to take in their arms and tend to me  
kal ki baat aur hai main ab sa rahun ya na rahun 
jitna ji chahe tera aaj sata le mujh ko 
in a house with open doors, like valuables I stay 
come someday with padded feet and steal me away 
baada phir baada hai main zahr bhi pi jaun 'qatil' 
shart ye hai koi banhon mein sambhaale mujh ko 
tomorrow is another day, same I might not remain 
however much you wish today you may cause me pain
        Ghazal
Apne hathon ki lakiron mein saja le mujhko
Qateel Shifai

