apne hathon ki lakiren na miTa rahne de
jo likha hai wahi qismat mein likha rahne de
sach agar puchh to zinda hun unhin ki KHatir
tishnagi mujh ko sarabon mein ghira rahne de
aah ai ishrat-e-rafta nikal aae aansu
main na kahta tha ki itna na hansa rahne de
us ko dhundla na sakega kabhi lamhon ka ghubar
meri hasti ka waraq yunhi khula rahne de
shart ye hai ki rahe sath wo manzil manzil
warna zahmat na kare baad-e-saba rahne de
yun bhi ehsas-e-alam shab mein siwa hota hai
ai shab-e-mah meri had mein na aa rahne de
zindagi mere liye dard ka sahra hai 'shamim'
mere mazi mujhe ab yaad na aa rahne de
Ghazal
Apne hathon ki lakiren na miTa rahne de
Mubarak Shamim