اردو हिंदी
Apne ghar se to chala tha main shikayat le kar | Shaahi Shayari
apne ghar se to chala tha main shikayat le kar

Ghazal

Apne ghar se to chala tha main shikayat le kar

Anvar Kaifi

;

apne ghar se to chala tha main shikayat le kar
us ke ghar pahuncha magar us ki mohabbat le kar

ek ehsas-e-junun mujh ko liye jata hai
lauT aaega nai phir koi wahshat le kar

hijr kahte hain kise ye mujhe malum nahin
kya karunga main tujhe ai shab-e-furqat le kar

dil mein rahta hai koi jazba-e-sadiq ki tarah
koi aae to dikhawe ki mohabbat le kar

mera ghar hai ki farishton ka koi maskan hai
kya karunga main kisi aur ki jannat le kar