apne ghar mein meri taswir sajaane wale
ungliyan tujh pe uThaenge zamane wale
ja tujhe bhi kahin diwar ka saya na mile
gham ke sahra mein mujhe chhoD ke jaane wale
hum faqiron ki bhi thoDi si duaen le ja
kaam aaengi nazar pher ke jaane wale
shoala-ru shoala-badan shoala-suKHan shoala-mizaj
aa gae ghar mein mere aag lagane wale
wo hamare hi kisi dost ka ghar tha shayad
chhup ke baiThe the jahan tir chalane wale
apne andar bhi kabhi jhank ke dekha hota
aaina sare zamane ko dikhane wale
aatish-e-rashk se jalte hain adu jal jaen
phul 'rahi' pe luTaenge luTane wale
Ghazal
Apne ghar mein meri taswir sajaane wale
Asghar Rahi