اردو हिंदी
Apne ghar ko wapas jao ro ro kar samjhata hai | Shaahi Shayari
apne ghar ko wapas jao ro ro kar samjhata hai

Ghazal

Apne ghar ko wapas jao ro ro kar samjhata hai

Muneer Niyazi

;

apne ghar ko wapas jao ro ro kar samjhata hai
jahan bhi jaun mera saya pichhe pichhe aata hai

us ko bhi to ja kar dekho us ka haal bhi mujh sa hai
chup chup rah kar dukh sahne se to insan mar jata hai

mujh se mohabbat bhi hai us ko lekin ye dastur hai us ka
ghair se milta hai hans hans kar mujh se hi sharmata hai

kitne yar hain phir bhi 'munir' is aabaadi mein akela hai
apne hi gham ke nashshe se apna ji bahlata hai