اردو हिंदी
Apne ehsas-e-sharar-bar se Dar lagta hai | Shaahi Shayari
apne ehsas-e-sharar-bar se Dar lagta hai

Ghazal

Apne ehsas-e-sharar-bar se Dar lagta hai

Azra Naqvi

;

apne ehsas-e-sharar-bar se Dar lagta hai
apni hi jurat-e-izhaar se Dar lagta hai

itni rahon ki saubat se guzar jaane ke baad
ab kise wadi-e-pur-KHar se Dar lagta hai

kitne hi kaam adhure hain abhi duniya mein
umr ki tezi-e-raftar se Dar lagta hai

sari duniya mein tabahi ke siwa kya hoga
ab to har subh ke aKHbar se Dar lagta hai

KHud ko manwaun zamane se to TukDe ho jaun
kuchh riwayat ki diwar se Dar lagta hai

shauq-e-shorida ke hathon hue badnam bahut
ab to har jazba-e-bedar se Dar lagta hai

jaanti hun ki chhupe rahte hain fitne is mein
aap ki narmi-e-guftar se Dar lagta hai