اردو हिंदी
Apne ehsanon ka nila saeban rahne diya | Shaahi Shayari
apne ehsanon ka nila saeban rahne diya

Ghazal

Apne ehsanon ka nila saeban rahne diya

Ibrat Machlishahri

;

apne ehsanon ka nila saeban rahne diya
chhin li chhat aur sar par aasman rahne diya

aaj us ki be-zabani ne mujhe samjha diya
kis liye fitrat ne gul ko be-zaban rahne diya

zindagi to kya asasa tak nahin baqi bacha
qatilon ne ab ke bas KHali makan rahne diya

KHauf-e-ruswai se main ne KHat jala Dala magar
jaane kyun us chand se lab ka nishan rahne diya

dosti ko apni majburi nahin samjha kabhi
fasla main ne barabar darmiyan rahne diya

be-gunahi ki safai de bhi sakta tha magar
kuchh samajh kar main ne us ko bad-guman rahne diya

aag ke bazigaron ne ab ke khel aisa khela
shahr ki taqdir mein KHali dhuan rahne diya

kya siyasi chaal hai ye zaliman-e-waqt ki
le liya sab kuchh magar ek KHauf-e-jaan rahne diya

chaunk chaunk uThta hun main raaton ko 'ibrat' KHauf se
KHwab us ne meri aankhon mein kahan rahne diya