apne dil ko sambhaal sakta hun
tujh ko hairat mein Dal sakta hun
waza-dari ka pas hai warna
main bhi kichaD uchhaal sakta hun
kam na samjho ye aatish-e-dil hai
main samundar ubaal sakta hun
toD dun aahani usul apne
phir main sikke bhi Dhaal sakta hun
jaane kyun hai yaqin qaza ko bhi
main duaon se Tal sakta hun
main tujhe jaanta hun pichhe se
teri pagDi uchhaal sakta hun
koi patthar ho koi qatil ho
sab ke aansu nikal sakta hun
main ne paida nahin kiya lekin
tere har gham ko pal sakta hun
main jo 'aKHtar' hun ek suraj hun
chand apna ujal sakta hun
Ghazal
Apne dil ko sambhaal sakta hun
Junaid Akhtar