apne dil ka haal na kahna kaisa lagta hai
tum ko apna chup chup rahna kaisa lagta hai
dukh ki bunden kya tum ko bhi khati rahti hain
aahista aahista Dhahna kaisa lagta hai
dard bhari raaten jis dam halkore deti hain
dariyaon ke ruKH par bahna kaisa lagta hai
main to apni dhun mein chakraya sa phirta hun
tum ko apni mauj mein rahna kaisa lagta hai
kya tum bhi sahil ki surat kaTte rahte ho
pal pal gham ki lahren sahna kaisa lagta hai
kya shamen tum ko bhi shab bhar be-kal rakhti hain
tum suraj ho tum ko lahna kaisa lagta hai
kya tum bhi galiyon mein ghar ki wusat pate ho
tum ko ghar se bahar rahna kaisa lagta hai
kam-ahang suron mein tum kya gate rahte ho
kuchh bhi na sunna kuchh bhi na kahna kaisa lagta hai
dard to sanson mein baste hain kaun dikhae tumhein
phulon par KHushbu ka gahna kaisa lagta hai
Ghazal
Apne dil ka haal na kahna kaisa lagta hai
Khalid Ahmad