apne chehre par kai chehre liye
hum baDe hi parsa ban kar jiye
raaz ulfat ka chhupane ke liye
zabt-e-girya bhi kiya lab bhi siye
jin mein chalti hain hawaen tez tez
aisi rahon mein jalae hain diye
jo bhi hain is bazm mein madhosh hain
aur ye madhoshiyan hain bin piye
aap ne chhoDe hain jo naqsh-e-qadam
wo hamare haq mein hain raushan diye
gham ke tufanon ki zad par be-KHatar
phir 'jamali' ne jalae hain diye
Ghazal
Apne chehre par kai chehre liye
Badar Jamali