apne beganon mein main ne farq kuchh paya nahin
is liye lab par koi shikwa kabhi laya nahin
aasman-e-dil pe baadal gham ka yun chhaya raha
han magar aankhon se main ne us ko barsaya nahin
KHush-gawari ka tassur aa gaya chehre pe yun
zaKHm jo dil par laga tha wo to bhar paya nahin
tum ne ghairon ke liye mujh se kiya jang-o-jadal
mere iKHlas-o-wafa ne tum ko taDpaya nahin
apni mahrumi ka main kyun kar karun shikwa bata
jaanta hun raat ka hota koi saya nahin
sair-tan ki wadiyon ki to kiya wo bar bar
ruh ki gahraiyon mein par utar paya nahin
kaisi qurbat wasl kya aur kya qarar-e-jaan-o-dil
waqt ne sab kuchh diya main ne magar paya nahin
kaisi ulfat pyar kaisa aur kya mehr-o-wafa
shahr mein mere to aisi shai koi laya nahin

Ghazal
Apne beganon mein maine farq kuchh paya nahin
Mohammad Hazim Hassan