apne ashkon ki ye barsat kise pesh karun
shab-e-furqat ki ye saughat kise pesh karun
gham-e-dauran ki shikayat gham-e-jaanan ka gila
uf ye pechida KHayalat kise pesh karun
kaun puchhega mere haal-e-fasurda ka mizaj
gham-e-dauran ki hikayat kise pesh karun
zist ko talKH banate hain jo har-dam meri
uljhe uljhe wo sawalat kise pesh karun
muntashir ho gaya shiraaza-e-ulfat afsos
dil ke bikhre hue zarraat kise pesh karun
gham ki tashhir se ho jati hai tauhin-e-wafa
is aziyyat ke hisabaat kise pesh karun
chun ke ashaar ghazal ke main sunaun kis ko
dil se umDe hue naghmat kise pesh karun
aaj bhi wo to nazar aate hain mail-ba-sitam
aur phir shauq ke jazbaat kise pesh karun
Ghazal
Apne ashkon ki ye barsat kise pesh karun
Nazar Barni