apne anjam se Darta hun main 
dil dhaDakta hai ki sachcha hun main 
mera saqi hai baDa dariya-dil 
phir bhi pyasa hun ki sahra hun main 
aur kis ko ho mere zahr ki tab 
apne hi aap ko Dasta hun main 
kyun karun pairwi-e-gautam o qais 
jab bhare ghar mein bhi tanha hun main 
tha wo kuchh hum se ziyaada hi mariz 
jis ka dawa tha masiha hun main 
kya nahin hai koi mai hosh-gudaz 
jitni pita hun sambhalta hun main
        Ghazal
Apne anjam se Darta hun main
Gopal Mittal

