apne anjam se be-KHabar zindagi
raat din kar rahi hai safar zindagi
in dahakti chitaon ki aaghosh mein
kis tarah ho sakegi basar zindagi
aa ke jate hue manzaron ki tarah
ghaTti jati hai sham-o-sahar zindagi
maut tera bahut hum pe ehsan hai
tujh se pahli na thi mo'atabar zindagi
bughz-o-nafrat ki baDhti hui aag mein
jal rahe hain umidon ke ghar zindagi
chhoD kar is qafas ko kidhar jaenge
ho gai ab to be-baal-o-par zindagi
hum bhi 'sailani' bhaTka kiye umr bhar
le gai jab idhar se udhar zindagi

Ghazal
Apne anjam se be-KHabar zindagi
Sailani Sevte