apne andar utar raha hun main
dhire dhire sudhar raha hun main
nur-o-zulmat mein imtiyaz nahin
is kunen mein utar raha hun main
jis ko dekho chura raha hai nigah
kis gali se guzar raha hun main
KHud ko ek din sameTna bhi hai
aaj-kal to bikhar raha hun main
chhoDa andesha-ha-e-dur-daraaz
ji raha hun ki mar raha hun main
jaanta hun main har qadam us ka
muddaton ham-safar raha hun main
sare chehre hain ye to anjaane
mehman kis ke ghar raha hun main
Ghazal
Apne andar utar raha hun main
Waqar Vasiqi