اردو हिंदी
Apne andar ke andhere ko jalaya maine | Shaahi Shayari
apne andar ke andhere ko jalaya maine

Ghazal

Apne andar ke andhere ko jalaya maine

Moid Rashidi

;

apne andar ke andhere ko jalaya main ne
kaun kahta hai ki tufan uThaya main ne

tu mujhe zahr pilati hai ye tera shewa
ai meri raat tujhe KHun pilaya main ne

is KHarabe ke muqaddar mein faqat sannaTa
apni tanhai ko ek jism banaya main ne

koi Takrae to is hijr-zada mausam mein
raat jangal mein bahut KHud ko jalaya main ne