apne andar bhi ham-nawai nahin
aql ki ruh tak rasai nahin
sauda-bazi agar na ho is mein
neki karne mein kuchh burai nahin
har ada se ada nikalti hai
itni aasan aashnai nahin
hum se qaem hai tere husn ki shan
ye meri jaan! KHud-satai nahin
kitna tanha hun dasht-e-ghurbat mein
mera bhai bhi mera bhai nahin
kisi unwan se kabhi 'abid'
zindagi hum ko ras aai nahin
Ghazal
Apne andar bhi ham-nawai nahin
Abid Wadood