اردو हिंदी
Apne andaz ka akela tha | Shaahi Shayari
apne andaz ka akela tha

Ghazal

Apne andaz ka akela tha

Waseem Barelvi

;

apne andaz ka akela tha
is liye main baDa akela tha

pyar to janm ka akela tha
kya mera tajraba akela tha

sath tera na kuchh badal paya
mera hi rasta akela tha

baKHshish-e-be-hisab ke aage
mera dast-e-dua akela tha

teri samjhaute-baz duniya mein
kaun mere siwa akela tha

jo bhi milta gale laga leta
kis qadar aaina akela tha