apne ahwal pe hum aap the hairan baba
aankh dariya thi magar dil tha bayaban baba
ye wo aansu hain jo andar ki taraf girte hain
hon bhi to hum nazar aate nahin giryan baba
is qadar sadma hai kyun ek dil-e-viran par
shahr ke shahr yahan ho gae viran baba
ye shab o roz ke hangamon se sahme hue log
rahte hain mauj-e-saba se bhi hirasan baba
unchi diwaron se bahar nikal aae to khula
hum ne sinon mein bana rakkhe hain zindan baba
KHush-guman ho ke na baiTh in dar-o-diwar se puchh
ahl-e-KHana bhi hain kuchh roz ke mehman baba
yaKH hawaon se mujhe aati hai KHush-bu-e-bahaar
shola-e-gul ki amin hai ye zamistan baba
gard-baad aaen ki girdab, bayaban ho ki bahr
zindagi hoti hai aap-apni nigahban baba
gai rut lauT bhi aati hai 'ziya' hausla rakh
hum ne dekhi hain siyah shaKHon pe kaliyan baba
Ghazal
Apne ahwal pe hum aap the hairan baba
Zia Jalandhari