apne ahd-e-wafa se ru-gardani karta rahta hai
meri subhon shamon ki nigrani karta rahta hai
kya kahiye kis mushkil mein baqi hai mohabbat ka misaq
jis par aae din wo KHud nigrani karta rahta hai
us ke apne ghar ka safaya din ko kaise ho paya
wo jo shab bhar shahr ki KHud nigrani karta rahta hai
dil ne us ko bhula dene ka azm to kitni bar kiya
dil pagal hai KHud hi na-farmani karta rahta hai
meri na-samjhi ke bais us ke masail ulajh gae
meri KHatir jo paida aasani karta rahta hai
yun lagta hai us ke din bhi pure hone wale hain
hadd-e-bisat se baDh kar wo man-mani karta rahta hai
us ki jhuTi tardidon ko sun kar chup ho jata hun
mere KHilaf jo din bhar ghalat-bayani karta rahta hai
jis ko tu ne apne hathon uncha kiya hai jaan 'salim'
mere KHilaf wahi to zahr-afshani karta rahta hai
Ghazal
Apne ahd-e-wafa se ru-gardani karta rahta hai
Safdar Saleem Sial