apne ahbab ko ashaar sunane nikla
main bhi kin logon mein sar apna khapane nikla
baad-e-koshish bhi na didar ki surat nikli
chand badli se kisi aur bahane nikla
is ko talim o mohabbat ki zarurat hai abhi
kam-sini mein ye jo be-chaara kamane nikla
chand ko dekh ke tara bhi badal kar poshak
bazm-e-ahbab mein rang apna jamane nikla
meri shohrat ka diya shams na ban jae kahin
koi is waste tauqir ghaTane nikla
Ghazal
Apne ahbab ko ashaar sunane nikla
Arif Ansari