apne afkar-o-andaz naya deta hun
KHushk manzar mein hasin rang mila deta hun
kitna hota hai mere dil ko KHushi ka ehsas
koi pauda jo sar rah laga deta hun
waise to sare zamane se chhupa hai mera haal
tum agar puchh rahe ho to bata deta hun
rose hoti hai hawaon se laDai meri
rose dahliz pe ek shama jala deta hun
kya diya mujh ko kisi ne hai alag baat magar
dekhna ye hai zamane ko main kya deta hun

Ghazal
Apne afkar-o-andaz naya deta hun
Noorul Ain Qaisar Qasmi