apne aansu hain tumhaare nahin ro sakta main 
aaj aankhon se sitare nahin ro sakta main 
ek taklif ka dariya hai badan mein lekin 
baiTh kar is ke kinare nahin ro sakta main 
main hun majzub mere dil ki haqiqat hai alag 
lakh hote hon KHasare nahin ro sakta main 
jism hai ruh ki hiddat mein pighalne wala 
hun sharabor sharare nahin ro sakta main 
main tamasha hun tamashai hain chaaron jaanib 
sharm hai sharm ke mare nahin ro sakta main 
bad-guman hone laga hai ye tayaqqun ka jahan 
mujh ko afsos hai pyare nahin ro sakta main 
zarre zarre mein qayamat ka saman hai 'sahil' 
ek hi dil ke sahaare nahin ro sakta main
        Ghazal
Apne aansu hain tumhaare nahin ro sakta main
KHalid Malik u0027Sahilu0027

