apna shahkar abhi ai mere but-gar na bana
dil dhaDakta hai mera tu mujhe patthar na bana
qaid-e-awargi-e-jaan hi bahut hai mujh ko
ek diwar meri ruh ke andar na bana
aati jati hui sanson pe lakiren mat khinch
meri taswir mujhe pas biTha kar na bana
wo gharaunde tere bachpan mein bhi Dah deti thi
ab to wo khel ki baaten bhi nahin ghar na bana
ek tera dhyan jo TuTega bikhar jaunga
mujh ko ek lahr pe bahne de samundar na bana

Ghazal
Apna shahkar abhi ai mere but-gar na bana
Mushaf Iqbal Tausifi