اردو हिंदी
Apna rafiq-o-ashna ghair-e-KHuda koi nahin | Shaahi Shayari
apna rafiq-o-ashna ghair-e-KHuda koi nahin

Ghazal

Apna rafiq-o-ashna ghair-e-KHuda koi nahin

Mushafi Ghulam Hamdani

;

apna rafiq-o-ashna ghair-e-KHuda koi nahin
ranj-o-mehan mein gham-zada ghair-e-KHuda koi nahin

puchha jo main hakim se illat-e-kun-fakan hai kaun
soch ke us ne ye kaha ghair-e-KHuda koi nahin

kabe ka shab ko main jo ja halqa-e-dar hila diya
aai sada ye andar aa ghair-e-KHuda koi nahin

aarif agar ba-chashm-e-ghaur aaina-e-jahan ke bich
dekhe to samjhe runuma ghair-e-KHuda koi nahin

garche jahan hai ma-siwa zat ke us ki 'mushafi'
sochiye phir to ma-siwa ghair-e-KHuda koi nahin